Tuesday, 28 November 2017

Umar to bus ek anko ka khel hai
Guna bhag karti bin engine ki rail hai
 har rishto ko ghat te badhte dekha hai
Par aakhir me shunya se hi guna hona hai
Fir kyo aasha nirasha ke pratishat khel me uljhe rahe,

Zindagi kyon hum anko ke khel me tujhe khote rahe...

Sunday, 19 November 2017

Band lifafe me pada wo khat,
Zindagi bhar darta raha,
Kabhi unke hath lag jata,
To shayad wo dar badal kar ishq ho jata...

Wednesday, 8 November 2017

On the accident happened on agra expressway...

Tum kaise keh sakte ho ke,
Hum patakhe na fode,
Tum kaise keh sakte ho ke,
Hum gandagi failna band kare..

Hum mehjabi rang nikalenge
Tumhare failsle ko q manenge
naa kahoge utna aur dhua nikalenge
Koum pe jo baat aayi to lashe bicha denge..

Toa kya hua iss dhue me dum ghutega,
Toa kya hua sadko pe khoon bahega,
Toa kya hua ke zehar seene me chadhega,
Toa kya hua aane wali kaum tadapti rahe,
Majhab ki ladai me to murge shaheed hote hi hai..


Tuesday, 7 November 2017

Kash Kabhi koi khat bin pate par jaye,
Itra ki Khusbu ke sath uska koi jawab aaye..
Fark nahi ke kaise hatho ne likha ho,
Bus saf dil aur,
masoom dhadkano se lipta ho..

Puche hal mera wo ajnabi,
Aur apne lamho ke kisse sunaye..
Main bhi likhu aalam meri nazro ke,
Aur uspar wo apni rai sunaye..

Shayad bahut hi,
purani soch me kho gaya hu,
Technology ke zamane me,
na jane kaha khat ko khoj raha hu..

Par fir bhi kash Kabhi koi khat bin pate par chala hi jaye,

Itra ki Khusbu ke sath uska koi jawab aaye...

Shayro ke lafz...

धुंधले से होते जा रहे हैं सपने हवाओं में कही, शायरों के लफ़्ज़ अब हलके हो चले है...