Bus kuch pal bhar ki bat hai,
doobti kirno me rang bhi doob jayenge..
rahenge to bus wo alfaa,
jo apna kissa khud baya karenge,
agali subah ke intezaar me...
Friday, 19 January 2018
मुझे थोड़ा सुकून दे दे , जो छोड़ा था तेरे सीने में कभी, ले बाँहों में और वो रूह दे दे , मुझे थोड़ा सुकून दे दे...
Saturday, 13 January 2018
Chahat to yunhi ho jati hai aksar,
Logo ki Har haseen chehre se..
Haseen chehre ko ho jab tumse,
Tab pal mukkamal ban jate hai,
Khair na wo chehra na log ab nazar aate hai,
Ek waqt se hame to sirf dost nazar aate hai...
Kitne chehro ne mukkamal bana kar dil ko,
gurur kar jate hai,
Kambakht ab sare chehre mukhauto me band,
ek tasveer se nazar aate hai
Kahani ban rahi hai,
Wo badal rahi hai,
Suna hai,
Shehar me fir se,
Sukun ki hawa chal rahi hai...
Ehsaso ka khel hai ye hawa,
Behti hai kabhi,
Machalti hai kabhi,
Koi has de sangeet ki tarah,
To tham kar pyar se dekhti hai Hawa..
Friday, 12 January 2018
Ansoo jo jam gaye hai,
Naino me zehar kar gaye hai,
Arsa hua bhula ke wo manjar,
Bewaqt wo lamhe panap hi jaate hai,
Zehan me uthe kasak lakh hi sahi,
Par jame aasoo jo iss tarah,
Bus inke aiwaj khoon hi beh jate hai..
Saturday, 6 January 2018
Kabhi highway ka ek toll sa lagta hu,
Khud ko diye bhi ja raha hu waqt par,
Aur Marammat bhi nahi ho rahi...
Wednesday, 3 January 2018
Sab milke pite hai,
Dalit ho ya maratha ,
Sab khul ke jite hai,
Bus ek Mehkhana hi hai wo jagah,
Jaha sirf insaan hi milte hain..
Tuesday, 2 January 2018
Whnever i feel low, down n udaas,
bin kahe koi alfaz,
samander tumne hamesha bulaya apne pass...
Ek taazi hawa, ek anokha nasha hain tera,
dil ko de sukun kuch aisa marham hain tera...
Door jau main kitna bhi,
tu jaan leta hai mere dil ki,
bin kahe koi alfaz,
samander tumne hamesha bulaya apne pass...
On New year,
Kuch dost paye hain, kuch yaar gavaye hain,
ye saal kuch aisa gujra, jisme sadiyan jee aaye hain...
Hasrato ki khwahish kahe ya,
uljhe dhadkano ki farmaish,
ab hum apne sehar se door nikal aaye hain...