Ek alag din,
Ek khas din,
Suna hai sirf kamjoro ka manate hai
Majdoor diwas ho ya,
Mahila diwas ya fir
Kavita diwas..
Kya ye yatharth hai,
Ya fir ye kisi ka swarth hai..
Kavitayein..
Jin par julm hue hazar,
Aawaz ko dabaya gaya kai bar,
Karagaar ki chaar diwari me,
Kabhi kaid siyasat ki bimari me,
Fir bhi kranti layi hai,
Ye kavita hi hai,
jisne murdo me bhi jaan laayi hai...
Kaise kamzor ho sakti hai kavita,
Jo khud kamzoro ka sahara hai,
Ek din diya hai tumne usse,
Jisne har lamha,tumhare ehsaso ko,
Lafzo se sawara hain...
Kaise kamzor ho sakti hai ye kavita..