Wednesday, 30 May 2018

Yun gupchup si aankhe sehmi si rehti hai,
Na jane kaun se pal ki aas me behti hai,
Janjal jee ka had se yun badha hai,
Beinteha har waqt hamari yado me rehti hai..

Yun gupchup si aankhe sehmi si rehti hai..

Sunday, 27 May 2018

Musafir ke 'Fir' ki tarah
Lehro ki majal ke 'Jal' ki tarah,
Bus aazadiyon ki ek dubki 
Aur nikal pade ham,

Tairne Manjilo ke 'man' ki tarah...

Wednesday, 23 May 2018

In barish ki boondo ko koi samjhaye,
Kitne khushnasib hainye kambakht,
Fisalte hai waha se jaha,
Khwahishe hamari ungaliya karti hai..

Tuesday, 22 May 2018

Khamoshi ke pal bhi,   
Ab Kitne mukhtasar hote hai,
Khayali Milkiyat banane me aksar
Hum jo masroof hi rehte hai...

Thursday, 17 May 2018

Sookhe sookhe naina hai
Ashko se bhar dena hai..
Jasbato ki behti ganga me
Mujhe ab sookha na rehna hai..
Dabi hui jo aandhi jehan me hai panpi,
Dehakti Boucharo se ugalna hai..

Kehna bahut kuch tha unko par,
Ab unhe hame kaha sunna hai..
Sookhe sookhe naina hai
Ashko se bhar dena hai..

Unki pehchan hamse thi,
Tadapti jaan hamse thi,
Rog lagaya tha hamne,
Bahut hasaya tha hamne...

Jis gali se wo nikalti thi,
 basa wahi yadon ka ek kona hai
Sookhe sookhe naina hai
Ashko se bhar dena hai....


Monday, 14 May 2018

Badal ko nhi pata barasna kaha hai
Bata de hum to khata kya hai
Raste dikha denge, 
ek pari se mila denge,
Jo issi aas me hai, 
na jane kitne barso ki pyas me hai..
Bata de hum to khata kya hai,

Mila de hum to khata kya hai...

Lamhe milte hi unhe kho jaya nahi karte
Najre milte hi unse ishq ho jaya nhi karte
Hamne har ada se sikhaya hai dil ko,
Badmizaz ho bhi jaye gar to,
Mehfil me dikhaya nahi karte..

Saturday, 12 May 2018

अब उस तरह से नहीं बजते,
बजते है सिर्फ़ शनिवार या इतवार,
जागते है परिंदो के अरमान,

बस शनिवार या इतवार...

Shayro ke lafz...

धुंधले से होते जा रहे हैं सपने हवाओं में कही, शायरों के लफ़्ज़ अब हलके हो चले है...