Saturday, 23 June 2018

Bin barish ki ye boonde gire hai 
Shayad hum had se jyada hi bure hai..
Bahare Mausmo ke intezar me hi pade the
Pata nahi tha itne khudgarji me ghire the..


Friday, 22 June 2018

Hum yun hi tadpte hai unke nam pe,
Wo mashroof rehte hai aksar apne kam me,
Ishare bhi na karte beech ghadi ke,

Warna yunhi qurban ho jaye hum unke ek ilzam pe..
Kai aate hai aur kai jaate hain,
Kuch hi hai wo jinse hum,
khud ko roobroo karwate hai..

Saturday, 16 June 2018

Ye jo dard hai na,
Inhe aksar sirhane rakh kar sota hu,
Kuch yahi apne hai na,
Jo chhod kar nahi jate...
Lafz behek jate hai aksar,
Ye hamara kad nahi samjhte..
Arsh se kab farsh pe la de,
Ye apni had nahi samjhte..
Ishq ki badi nazook dor hai miyan,
Beech ki dor me bus chand lafzo ki kami hai..
Jab Lafz hi khilaf ho khudse,

To Dooriya bana lena hi lazmi hai..

Arsh-Sky

Thursday, 14 June 2018


Ye manjar hi kuch alag hai wo manjar kuch alag tha,
Ye sikandar kuch alag hai wo sikandar kuch alag tha...
Ishq karte aur har gali dushman banane ka maja alag tha..
Nukkad,bagiche,samander kinare waqt bitane ka nasha alag tha..
Ab ek sannate me padi youtube aur facebook ki duniya hai,
Inhe kya pata wo zamana kitna alag tha...
Ye sikandar kuch alag hain..wo sikandar kuch alag tha....

Monday, 11 June 2018

Main kahu na kahu kahani fir bhi ban jayegi,
Main rahu na rahu kirdaro ki kami kaha nazar aayegi...
Ehsaso me lipti Bus ek zindagi bitana hai,
Jo mile uss sang ek mehek failana hai..
Yaad rakhne ko khas pal jo ho,

Khanak sikko ki goonj se pare ho jana hai..



Sunday, 10 June 2018

Ek dhoondh si ubhri hai aankho pe ya,
 neend me khoye hum sapno ki..
 kuch bojh sa daba tha dil me,
yunhi aadat nahi pehle peher me jagne ki...

Thursday, 7 June 2018

Zindagi Hu na main bhi teri, 
kyon na banti tu meri..
Samjhti hu jab bhi tujhe leke fursat,

Fir yun Badal leti hai tu apni fitrat...

Saturday, 2 June 2018

Behek rahe hai khayal mere namaze shiddat me,
Inhe tumhare ishq ka chaska laga hai..


Shayro ke lafz...

धुंधले से होते जा रहे हैं सपने हवाओं में कही, शायरों के लफ़्ज़ अब हलके हो चले है...