fir rat guzar gayi bin neendo ke,
din bhi lage ab kuch bhari..
yarron sang bhi dil naa laga,
naa jane kyon hai ye bekarari..
Tanha rehne ko hi chahe kyon dil ye mera,
khud se hi dil puchta fir raha,
keh bhi do kya kasoor hai mera....
Soch soch kar bhi jab na suljhi bechaini ye,
khud ko bitha ke dekha yadon ki kashti me...
Aankhein bund kar jab yadon me khoya,
samander ki ret par sang baithe sathi ka chehra dekha...Fir yaad aaye wo pal,
jinme hum labo se kehte to kuch naa the,
par aankho se naa jane kitne aayam likh jate the...
Teri wo bachcho wali khilkhilati hasi,
ab bhi mere kano me jhankar si jhankati hai..
Kaise bhoolu teri masumiyat si adaye,
wo bheeni si khushbu aur pyari nigahe...
Tujhe apna naa bana paya apni kuch majbooriyo se,
bus ek yahi kami si rehti hai,
meri saja ye ke ab meri khud se hi nhi banti hai...
Ab jeene ki ek yahi wajah mili,
ke aaj bhi yaddo me hi,
meri parchai teri parchai sang chalti hain....