Tuesday, 26 September 2017

Aao na meri baho me...

Jab tak na ho subah,
Tab tak meri aagosh me...
Taro me un udte badlo me,
 humtum khoye aaye na hosh me...

Kisse kahaniya main sunau,
Tum bus mere sir pe hath firaye ja...
Angdaiya jo aaye,
keh de fir aur kabhi iss gali aa..

Tere kano ki ek bali ko,
Chupke se chura lu...
Tu jab na ho to,
Usse hi apne dil ki kahu...
Wo jo rehti hai tumhare pass,
Wo hi keh degi mere dil ki bat..

Ab to sirf tujhe dekhu,
Aur dekhta hi rahu..
Iss pal ko rok lu,
Ya uss pal me chalu..

Jo bhi ho bus ye lamhe kamal hai,
kamyabiyo ke pal se bhi naayab hai...

Baho me aaye ho,
Bus yun hi raho..meri baho me...

Thursday, 14 September 2017

Hindi diwas ke avasar par..

Toofano se ladi hu main,
chattano se giri hu main,
Na jane kaise kaise,
Ehsano me dabi hu main...

Main koi khaas nahi ji,
aapki hindi hu main...

Main aur meri behno ne,
Milke kitne hi anokhe kam kiye..
Vande matram aur inqlaab se,
Aazadi ki aawaz bane...

Prem ki galiyo me,
Maa ki loriyo me,
Mitro ki gaaliyo me,
Pali hu main,
Aise hi badhi hu main..

Main koi khaas nahi ji,
 aapki hindi hu main...

Bus ab bol diya karte hai kuch mujhe,
Jinhe meri angreji saautan na samajh aayi,
Ya kuch pagle kavi ya deewane premi,
Likh diya karte hai deewaro pe ya chand
Kagaz ke akhbaro pe...

Kuch hai jo chahte hai mujhe ab bhi,
Uss tarah jaise unki pehli premika hu main,
Kuch wo bhi hai jo mante hai mujhe,
Uss tarah jaise majboor gareebo ki,
shramika hu main

Main koi khaas nahi ji,

 Bus aapki hindi hu main...

Sunday, 10 September 2017

Ishq ko pee gaya, 
Kisi pyase musafir ki tarah..
Bhatakna talwo me likha,
Kisi sanyasi ki tarah..

Mod kai khud hi banaye,
Mod kai khud hi bhool aaye..
Manjil par pahuche aur,
Manjil ko hi chhod aaye..

Kaise bataye,
Kya paaye aur kya chhod aaye..

railgaadi ke fatak khulne ka,
Intezaar kiya jaaye..
Ya aankhe moond kar dhoke se,
unse fir mil hi aaya jaaye....

Kaise bataye,
Kya paaye aur kya chhod aaye..

Tehaniya sookhi ho to,
Jala di jati hai aksar..
Mitti se ho judi to,
Aag bhi mushkil se hi jala paaye...

Kaise bataye,
Kya paaye aur kya chhod aaye..

Shayro ke lafz...

धुंधले से होते जा रहे हैं सपने हवाओं में कही, शायरों के लफ़्ज़ अब हलके हो चले है...