Thursday, 14 September 2017

Hindi diwas ke avasar par..

Toofano se ladi hu main,
chattano se giri hu main,
Na jane kaise kaise,
Ehsano me dabi hu main...

Main koi khaas nahi ji,
aapki hindi hu main...

Main aur meri behno ne,
Milke kitne hi anokhe kam kiye..
Vande matram aur inqlaab se,
Aazadi ki aawaz bane...

Prem ki galiyo me,
Maa ki loriyo me,
Mitro ki gaaliyo me,
Pali hu main,
Aise hi badhi hu main..

Main koi khaas nahi ji,
 aapki hindi hu main...

Bus ab bol diya karte hai kuch mujhe,
Jinhe meri angreji saautan na samajh aayi,
Ya kuch pagle kavi ya deewane premi,
Likh diya karte hai deewaro pe ya chand
Kagaz ke akhbaro pe...

Kuch hai jo chahte hai mujhe ab bhi,
Uss tarah jaise unki pehli premika hu main,
Kuch wo bhi hai jo mante hai mujhe,
Uss tarah jaise majboor gareebo ki,
shramika hu main

Main koi khaas nahi ji,

 Bus aapki hindi hu main...

No comments:

Post a Comment

Shayro ke lafz...

धुंधले से होते जा रहे हैं सपने हवाओं में कही, शायरों के लफ़्ज़ अब हलके हो चले है...