Friday, 22 December 2017


zindagi tu yun hi bahut sahi hai,
Jaisi hai bus meri hai..
Khwahisho ki aadat,
Maine khud hi nahi lagai hai,
Jitna mile usme tu simat jati hai,
Dard hota hai jab,
Tu sakpaka si jati hai,
Fir khud hi uth ke,
Sambhal bhi jati hai..
Kya mangu uss toot te tare se,
Jab khud chalna tu seekh gayi hai,
Zindagi haa tu yunhi bahut sahi hai...

Tuesday, 28 November 2017

Umar to bus ek anko ka khel hai
Guna bhag karti bin engine ki rail hai
 har rishto ko ghat te badhte dekha hai
Par aakhir me shunya se hi guna hona hai
Fir kyo aasha nirasha ke pratishat khel me uljhe rahe,

Zindagi kyon hum anko ke khel me tujhe khote rahe...

Sunday, 19 November 2017

Band lifafe me pada wo khat,
Zindagi bhar darta raha,
Kabhi unke hath lag jata,
To shayad wo dar badal kar ishq ho jata...

Wednesday, 8 November 2017

On the accident happened on agra expressway...

Tum kaise keh sakte ho ke,
Hum patakhe na fode,
Tum kaise keh sakte ho ke,
Hum gandagi failna band kare..

Hum mehjabi rang nikalenge
Tumhare failsle ko q manenge
naa kahoge utna aur dhua nikalenge
Koum pe jo baat aayi to lashe bicha denge..

Toa kya hua iss dhue me dum ghutega,
Toa kya hua sadko pe khoon bahega,
Toa kya hua ke zehar seene me chadhega,
Toa kya hua aane wali kaum tadapti rahe,
Majhab ki ladai me to murge shaheed hote hi hai..


Tuesday, 7 November 2017

Kash Kabhi koi khat bin pate par jaye,
Itra ki Khusbu ke sath uska koi jawab aaye..
Fark nahi ke kaise hatho ne likha ho,
Bus saf dil aur,
masoom dhadkano se lipta ho..

Puche hal mera wo ajnabi,
Aur apne lamho ke kisse sunaye..
Main bhi likhu aalam meri nazro ke,
Aur uspar wo apni rai sunaye..

Shayad bahut hi,
purani soch me kho gaya hu,
Technology ke zamane me,
na jane kaha khat ko khoj raha hu..

Par fir bhi kash Kabhi koi khat bin pate par chala hi jaye,

Itra ki Khusbu ke sath uska koi jawab aaye...

Thursday, 26 October 2017

Sab so gaye hai,
Rat bhi so gayi hai,
Jagti hai sirf kalam,
Ek ehsas me,
Lafzo ke sath me..
Khojti usse jisse tum suno,
Ya sunai na de, wo lafz..
Jinhe tum sunna na chaho,
Bahut kathore honge,
Jab sunoge tum sach, wo lafz..

Friday, 20 October 2017

Sagar se milne ko nadi thi chali,
 Kabhi sookhi kabhi kahi aur ho li...
Gujarti thi mujhse jo,
Puche haal mera
Na jane kitne safar ke naav..
Chhode hai main tujhse milne ko
Na jane kitne shehar aur kitne gav..


Friday, 6 October 2017

Kahaniyo me kitabo me,
Sarfire itwaro me,
Na jane kaha na dhoondha,
Kismat hai kaha tu hai kaha..


Bengali version:


Galpa Ba'iẏēra bhitarē, 
sāraphā'iẏaẏa subhārē, 
kōthāẏa yētē jāni nā, 

kōthāẏa āpani kiśamatha āchē...

Tuesday, 26 September 2017

Aao na meri baho me...

Jab tak na ho subah,
Tab tak meri aagosh me...
Taro me un udte badlo me,
 humtum khoye aaye na hosh me...

Kisse kahaniya main sunau,
Tum bus mere sir pe hath firaye ja...
Angdaiya jo aaye,
keh de fir aur kabhi iss gali aa..

Tere kano ki ek bali ko,
Chupke se chura lu...
Tu jab na ho to,
Usse hi apne dil ki kahu...
Wo jo rehti hai tumhare pass,
Wo hi keh degi mere dil ki bat..

Ab to sirf tujhe dekhu,
Aur dekhta hi rahu..
Iss pal ko rok lu,
Ya uss pal me chalu..

Jo bhi ho bus ye lamhe kamal hai,
kamyabiyo ke pal se bhi naayab hai...

Baho me aaye ho,
Bus yun hi raho..meri baho me...

Thursday, 14 September 2017

Hindi diwas ke avasar par..

Toofano se ladi hu main,
chattano se giri hu main,
Na jane kaise kaise,
Ehsano me dabi hu main...

Main koi khaas nahi ji,
aapki hindi hu main...

Main aur meri behno ne,
Milke kitne hi anokhe kam kiye..
Vande matram aur inqlaab se,
Aazadi ki aawaz bane...

Prem ki galiyo me,
Maa ki loriyo me,
Mitro ki gaaliyo me,
Pali hu main,
Aise hi badhi hu main..

Main koi khaas nahi ji,
 aapki hindi hu main...

Bus ab bol diya karte hai kuch mujhe,
Jinhe meri angreji saautan na samajh aayi,
Ya kuch pagle kavi ya deewane premi,
Likh diya karte hai deewaro pe ya chand
Kagaz ke akhbaro pe...

Kuch hai jo chahte hai mujhe ab bhi,
Uss tarah jaise unki pehli premika hu main,
Kuch wo bhi hai jo mante hai mujhe,
Uss tarah jaise majboor gareebo ki,
shramika hu main

Main koi khaas nahi ji,

 Bus aapki hindi hu main...

Sunday, 10 September 2017

Ishq ko pee gaya, 
Kisi pyase musafir ki tarah..
Bhatakna talwo me likha,
Kisi sanyasi ki tarah..

Mod kai khud hi banaye,
Mod kai khud hi bhool aaye..
Manjil par pahuche aur,
Manjil ko hi chhod aaye..

Kaise bataye,
Kya paaye aur kya chhod aaye..

railgaadi ke fatak khulne ka,
Intezaar kiya jaaye..
Ya aankhe moond kar dhoke se,
unse fir mil hi aaya jaaye....

Kaise bataye,
Kya paaye aur kya chhod aaye..

Tehaniya sookhi ho to,
Jala di jati hai aksar..
Mitti se ho judi to,
Aag bhi mushkil se hi jala paaye...

Kaise bataye,
Kya paaye aur kya chhod aaye..

Saturday, 19 August 2017


Perception,

Har chah yaha parinda ban jane ki,
ud jane ki khule asmano ki,
befikri me uchaiya pahado ki choo jane ki,
concrete ke junglo se door jheelo me nahane ki...

likhta hu baitha ek sust si razai me,
khidki ke ek kone me, dupke,
thithurta ek kabutar,
sehma hai usi mausam ki ati me...

fir sochta hu,
chah jitni haseen dikhti hai
asal zindagi ke samne kaha tikti hai...


Mere kandhe ki ek or pe teri sirah,
teri sason ki halki aawaz ke sang,
uthna chahunga har subah...

Tumhare labo ki garmahat se jude ho mere gal,
meri ungliyan khelti ho teri julfo se us pal...

ehsaas teri dhadkano ka dhadhakna mere seene pe,
janta hu aisa ehsaas,
sirf tujh sang hai aur na hua aur kisi se...
घर में तो हैं वो,
पर सवाल उस छत सा,
जिसे दीवारों ने ही कैद कर रखा हैं...

सफ़र में तो हैं वो,
पर हाल उस ख़त सा,
जिसे लिफाफो ने ही कैद कर रखा है...
Jale the jo kabhi, wo chaale maujood ab bhi hai,
Khauf me the jo kabhi, wo lamhe qaahir ab bhi hain...

In remembrance of 26/11 martyrs..

Qahir- Angry
fir rat guzar gayi bin neendo ke,
din bhi lage ab kuch bhari..
yarron sang bhi dil naa laga,
naa jane kyon hai ye bekarari..
Tanha rehne ko hi chahe kyon dil ye mera,
khud se hi dil puchta fir raha,
keh bhi do kya kasoor hai mera....
Soch soch kar bhi jab na suljhi bechaini ye,
khud ko bitha ke dekha yadon ki kashti me...
Aankhein bund kar jab yadon me khoya,
samander ki ret par sang baithe sathi ka chehra dekha...Fir yaad aaye wo pal,
jinme hum labo se kehte to kuch naa the,
par aankho se naa jane kitne aayam likh jate the...
Teri wo bachcho wali khilkhilati hasi,
ab bhi mere kano me jhankar si jhankati hai..
Kaise bhoolu teri masumiyat si adaye,
wo bheeni si khushbu aur pyari nigahe...
Tujhe apna naa bana paya apni kuch majbooriyo se,
bus ek yahi kami si rehti hai,
meri saja ye ke ab meri khud se hi nhi banti hai...
Ab jeene ki ek yahi wajah mili,
ke aaj bhi yaddo me hi,
meri parchai teri parchai sang chalti hain....

Weham se aage jehan fir karey iradey,
Firaaqe mausam me, khojati qaasid ki nigahey,
Mil bhi jaye qaasid to khat kya likhenge,
Jawab hame bhi pata hai, jawab tumhe bhi pata hai....

Firaaqe -seperation
Qaasid-messenger

Chand ka majhab, puche koi usse jara...
Kal ko dekh usse eid mana raha tha koi,
Aaj karwa chauth pe dekh usse hi,
koi apni ardhangni ko pani pila raha...

ज़िन्दगी दो पालों में सुस्त पड़ी है ,
मनमौजी कहीं दरिया किनारे खड़ी है..

पालों में  उथलपुथल  का माहौल है,
मन  तो संगीत की गहराई में बेमिसाल है,

पालों की बेड़िया किसी औऱ की सुनती है,
आज़ादी तो बर्फ के पहाड़ो की भ्रमन्ति है..

शायद जरुरी है इन पालों में हो आने का,
अलबत्ता मायने क्या होंगे पंछी बन जाने का...

Thursday, 10 August 2017

Hum shuru na kare batien
To shayad batien hi na ho
Unhe lagta tha wo,
palke na jhukaye to,
Ratien na ho..
Hum ab na aayenge,
Khud se tume bulane..
Tum mast raho apni tanhaiyo me

Hum mast rahenge apni shayri ki aaho me...

Sunday, 23 July 2017

Ek muskan dekh ke hi ghum ho jate hai,
Jab wo chupke se muskate hai..

Halki gulabi si unki wo libas pe,
Wo ek apsara si nazar aate hai..

Na jane kitne lamhe unhe dekhke gujare hai
Un lamho ko hi sanjo ke khud ko saware hai

Thehra raha waqt shayad wahi,

Hum na jane kitni door nikal aaye hai..

Saturday, 15 July 2017

Badi umr beeti wo mukam kiska tha,
Sochne kaha baithe ke wo jam kiska tha..
Wafa ki mohlat mangte rahe wo,
Aur hum na samjhe wo kam kiska tha..


Mushkil hai lamhe gujarna 
Thoda bheeg hi lete hai
Ishq karke neend ud gayi hai
Ab thoda so bhi lete hai

Na jane kitne ehsas dabaye the,
Aandhi thi ya sailab chupaye the..
Muddato bad koi lamha aaya,
Ek ajnabi sang kuch pal bitaya..
Aandhi thi ya toofan,
Us pal na dikha koi purana chuta mukam..
Sukun do pal ka tha,
Do pal ki thi sham..
Sochte hai jeena hai to,
Jiyenge khul ke ab ham..

Kitne bhi band na kar lo dil ki khidkiya,
Jo sas jati hai dil tak,

Wo bhi ek hawa hi hai...

Friday, 16 June 2017

Iss surahi jaisi gardan pe,
Ek nishan chodne ka dil karta hai,
Zulfe kambakht beech me na aaye,
Warna mausam me bheeg ke bhi man sookha rehta hai...

Wednesday, 14 June 2017

Ye khamoshi badi ajeeb hoti hai,
Jane kitni batien keh jati hai,
Fir bhi na jane q khamoshi kehlati hai..

Saturday, 3 June 2017

Wo muskan jiske lakho diwane,
Hame bhi dikha de tu apne afsane..
Sookhe the arman hamare,
Peene de aaj ye tere  labo ke paimane...

Tumhari tareef me kuch nikal jate hai jo lafz
Unhe tijoriyon me sametne ka dil karta hai

Friday, 2 June 2017

Hame Unki parchai me bhi sukun milta hai,
Log sath reh kar bhi khush nhi hote..
Ek zamana ho gaya barish me bheege,
Ab to sirf doudte  lamhe bhegte hai,
Ya humari uljhane...

Monday, 29 May 2017

Zindagi ke har lamho me mehak bhar deta hu,
Bus Jaha se bhi dard uthta hai,
Waha thoda nazarandazi ka namak bhar deta hu..
Muddato beete the muskuraye,
Lafzo me sunaye,
Ya likh kar hi dikhaye,
Aakhir q hum muskuraye,
Wajah kya hai kaha hi na jaye...

Manjil ko pane ki khushi,
Shayad itni na thi,
Jitna raho me hamne gungunaye
Aakhir q hum muskuraye,
Wajah kya hai kaha hi na jaye...

Thursday, 18 May 2017

Lafz aur bematlab alfazo ki hai ye duniya,
Kabhi sukun ki sham aur kabhi dhoop ki chubhaniya..

Rasta hai kat jayega,
ek waqt apna bhi aayega..

Bematlab ka har jagah shor hua hai,
Mushkilo main hai har banda
Jo rab se door hua..

Saturday, 29 April 2017

दो बोरियाँ आमों की भिजवायी थी काशिद के हाथ,
लौट आया वो भरी दुपहरिया बिन दिए सौग़ात 
पूछा क्यों किए ये बदमिज़ाजी,
सुनाई दास्ताँ होके उसने जज़्बाती..
कमबख़्त ने शोर बहुत सुना था गाँव में,
मुसाफ़िर दौड़ रहे थे ख़ूनी पाँव से..
ख़बर फैली थी आयी है चमकीली ड़ायन,
लाती है रौशनी गहरी ढलती शाम में..
हम कहे चल पगले,
ले तू भी दो घूँट मार ले और सुन,

नयी नयी बिजली आयी हैं गाँव में...

Tuesday, 18 April 2017

Kahani badi hi ajeeb shakshiyat hai
Behti hai, udti hai
Na jane kitne samander tairati hai
Kirdaro se bhari,
Kahi raja kahi pari,
Aawaz daba do to kya,
Cheekhti hai aksharo ke sahare..
Mukhote pehne
Ya aaina dikhate
Khud ki parchai
Bana ke dikha de
Hai ajeeb ye kahani
Kehte hai kuch log
Jo ab inka hissa nahi hai
Ya ab bhi hai
Aur inme shayad ham hi nahi hai

Saturday, 15 April 2017

Uljhano me uljha raha,
Jane kaise main tanha raha..
Barisho ka mausam gujar gaya,
Aur main na jane kisliye sookha raha..

Meri kabiliyat tujhe kya batau,
Sachai ko kya aaina dikhau..
Ishq sachcha na hota gar usse,
Bheegta main bhi  barisho me..

Subah padi jo pehli kiran
Jaga diya neendo sey..
Ab nikle hai poora karne,
Apne doosre sapne umeedo sey..

Wednesday, 12 April 2017

Kuch khat hame bhi mile the,
Itra ki mehak thi,
Shayad apne balo se firaya tha usne kabhi...
Kuch gulabi rang ke syah bhi thi,
Shayad apne hotho se lagaya tha usne kabhi..
Bin padhe kafi kuch samjh gaye hum,
Likhe the jo lafz, wo kya bayan karenge hale dil..
Tune sasien bheja hai khat me,
Unhe mehsoos karke hi ham ho gaye tere bus me...

Friday, 7 April 2017

Pani jaisa hu main
Mil jata hu har rang me..
Gulal jaisi hai tu
Khil jati hai chehre pe gir ke..

Tu ranbirangi,
Mera koi rang nahi
Tujhme chamak indradhanush ki,
Main badlo me kabhi chupta sa,
Kabhi girta sa jiska koi dhang nahi...

Barish ki boondo ke intezar me
Dupehariya me gira aam ka ek beej,
Garmi ki loo seh rahi,
Aur uspe Jalati chubhati kirne..

Kuch usse tarah hum bhi,
Kabhi khamosh baithe hai,
To kabhi gujar bhi rahe hai tanhai ke mousam me
Kisi masoom barish ki boondo ke intezaar me..

Monday, 3 April 2017

Kuch hi to hunar bate hain khuda ne
Ofc ki char diwari ne aadhe kam kar diye

Sunday, 2 April 2017

Hawao ko keh do hum par na barsaye,
Yado ki poorvayi yun hasi sham me..
Jiske intezar me hain hum baithe,
Uska koi paigam le aa yun hasi sham me...

Wednesday, 29 March 2017

Raz dilke itne gehre hai ke uske aage,
Gehrai samander  ki bhi kam lagti hain
B chaini kuch iss tarah se hai machi,
Ke uske aage
Tufani lehre bhi tham gayi si lagti hai
Ke ab magroor samjhne laga hai zamana,
Ke uske aage sunami ki magruriyat bhi kam lagti hain...

Aaj socha kuch likhu, par aisa kya likhu,
jo kabhi socha na ho, jo kabhi likha na ho...

haa..sala ye emotions bhi kitne limited hote hai..

hasi ke do pal to utar aaya hu panno par,
dilruba ke chehre ko sawar aaya hu lamho par..
gam se to apna kuch gehra hi nata hai,
kalam tab bhi chal chuki hai jab gussa aata hai..

wadiyon ki feelings nazaro me bayaan kar chuke hai,
sagar ke ahsaas se to facebook me badh la chuke hai..

jhoomne ki khushi, dosto sang peene me likh dali hai,
aye dil tu hi bata..kuch likhne ko ab kya baki hai..

ye soch ke alam bhi kitne unpredicted hote hai,
haa..sala ye emotions bhi kitne limited hote hai..

Tuesday, 28 March 2017

Ab koi gila nahi
Koshish to puri rahi
par uska dil pighla nahi
Kabhi sham tale aao
Mere palko se apni palke milao
Kitni thi kasak
Thoda tum jano thoda hame batao
Ha Ab koi gila nahi..

Tuesday, 21 March 2017



Gili mitti se kumbhar banata tha murtiyan,
ungaliya fisalti aur kar jati thi galtiyan,
kai baar the bigde uske aakar,
par na hua wo hatash ya lachar,
ek baar jab gir padi bani banai murti,
do pal ka tha gum aur kuch pal rahi aankhe num,
mud ke na dekha piche fir kabhi,
aur diya usse pura aakar laga ke apni sari shakti,
girr kar uthne wale ko hi hum insan kehte hai,
ussi mehnat se bani murti ko yarro,
aaj hum bhagwan kehte hai...


Friday, 17 March 2017

Safar lamba hai,Do pal kahi ruka jaye
Ek glass tum piyo,
Ek glass me kafiro ko pilaya jaye,

Rishto ki kiste banaye
Boond boond kar use chukaye

Monday, 13 March 2017

रिश्तों की भी सच्चाई दीवारों जैसी हैं,
इक इक ईंट से बनती है,
पर विश्वाश की छत ना हो तो
दीवारें अक्सर खंडहर सी बन जाती है

Tuesday, 21 February 2017

Hawao ne fir rukh badla hai
Lagta hai koi toofan aane wala hai

Pass na hi diwali na ramzan aane wala hai,
Chor bazaar me fir halchal si hai machi,
Samander se tashkari ka samaan aane wala hai..

Sambhalne ka mauka ab na milega,
Agale sadak par wo aakhiri mukaam aane wala hai..

Lagta hai koi toofan aane wala hai...

Monday, 20 February 2017

Ek afsana bata de
Mujhe koi gana bata de
Gungunau tujhe dekh kar
Aur tu bus yuhi muskura de

Sunday, 12 February 2017

Tej kitna bhi nikal ja tu mujhse,
Agle traffic par pakad hi lunga...
Mauka sabhi ko milta hai,
Mere shahar me aage badhne ka...


Friday, 3 February 2017

O dear zindagi...
Daud rahi tu naseebo ki petrol se
Tairati hai wasulo ki boat pe
Udna seekha himmat ki dor se
Ab ruke hi kyon mushkilo ke mod pe..

Dalaan me paani ke cheetien markar,
Mitti ki saundhi khushubu le leti hain..
Tu hai hi badi jugadu,
Maaji me bula ke Tasveerein le leti hai..

Samandar ki udati ret ki sarsarahat hai tu,
Jitna bachu tujhse utna lipat jati hai tu..
apne fasane chal rahe,
Aur peene ka mann hai,
Kuch waqt de mujhe
Abhi to tujhe jeene ka mann hai..

Ek boond

Ek boond padi jo galo par
Muskura pade hum,
Aankhe jab kholi to dekha
Sara shehar geela hain...

Shayro ke lafz...

धुंधले से होते जा रहे हैं सपने हवाओं में कही, शायरों के लफ़्ज़ अब हलके हो चले है...